wo karen jab bhi baat phulon ki
vo kareñ jab bhī baat phūloñ kī
muskurā.e hayāt phūloñ kī
vasl kī shab badan ke sahrā meñ
aa rahī hai barāt phūloñ kī
ishq ḳhushbū hai dar-ba-dar Thahrā
husn hai kā.enāt phūloñ kī
ik tabassum pe munhasir Thahrī
zindagī be-sabāt phūloñ kī
zulf meñ phuul haath meñ mehñdī
sub.h phūloñ kī raat phūloñ kī
hañste hañste ḳhizāñ ne pūchhā hai
kis ne chheḌī hai baat phūloñ kī
pattā pattā hai ashk-bār 'razī'
kaisī guzrī hai raat phūloñ kī
wo karen jab bhi baat phulon ki
muskurae hayat phulon ki
wasl ki shab badan ke sahra mein
aa rahi hai baraat phulon ki
ishq KHushbu hai dar-ba-dar Thahra
husn hai kaenat phulon ki
ek tabassum pe munhasir Thahri
zindagi be-sabaat phulon ki
zulf mein phul hath mein mehndi
subh phulon ki raat phulon ki
hanste hanste KHizan ne puchha hai
kis ne chheDi hai baat phulon ki
patta patta hai ashk-bar 'razi'
kaisi guzri hai raat phulon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.