wo karen mujh pe inayat ghalat
vo kareñ mujh pe ināyāt ġhalat
nāma-bar hai tirī ye baat ġhalat
ḳhvāb dekhā to nahīñ hai qāsid
mujh se vo aur mulāqāt ġhalat
mere dil ko na yaqīñ aa.egā
tum na the ġhair ke ghar raat ġhalat
ḳhair yūñhīñ sahī dushman sachchā
achchhā achchhā mirī har baat ġhalat
mere ashkoñ kī jhaḌī hai ye to
aap samjhe raheñ barsāt ġhalat
tum pe martā huuñ kahā jab to kahā
kyā ye baktā hai ḳhurāfāt ġhalat
shikva-e-ġhair pe jhuñjhlā ke kahā
maiñ na mānūñgā tirī baat ġhalat
mujh ko mahfil meñ jagah deñ vo jhuuT
ġhair kī ho na mudārāt ġhalat
maiñ to kahtā huuñ pate kī sāhib
tum kahe jaao tirī baat ġhalat
shikva-e-jor karūñ maiñ tauba
aap ke haiñ ye ḳhayālāt ġhalat
mai se aur tauba kare tū 'nashtar'
maiñ na mānūñgā tirī baat ġhalat
wo karen mujh pe inayat ghalat
nama-bar hai teri ye baat ghalat
KHwab dekha to nahin hai qasid
mujh se wo aur mulaqat ghalat
mere dil ko na yaqin aaega
tum na the ghair ke ghar raat ghalat
KHair yunhin sahi dushman sachcha
achchha achchha meri har baat ghalat
mere ashkon ki jhaDi hai ye to
aap samjhe rahen barsat ghalat
tum pe marta hun kaha jab to kaha
kya ye bakta hai KHurafat ghalat
shikwa-e-ghair pe jhunjhla ke kaha
main na manunga teri baat ghalat
mujh ko mahfil mein jagah den wo jhuT
ghair ki ho na mudaraat ghalat
main to kahta hun pate ki sahib
tum kahe jao teri baat ghalat
shikwa-e-jor karun main tauba
aap ke hain ye KHayalat ghalat
mai se aur tauba kare tu 'nashtar'
main na manunga teri baat ghalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.