wo karwaT ba karwaT sirhane se guzri
wo karwaT ba karwaT sirhane se guzri
Syed Saddam Gilani Murad
MORE BYSyed Saddam Gilani Murad
vo karvaT ba karvaT sirhāne se guzrī
mirī raat tum ko manāne se guzrī
jo guzrī na thī hijr ke gulsitāñ se
vo chāhat meñ apne Thikāne se guzrī
jigar meñ mire hai ye kyā hashr barpā
ye guzrī hai jo paas aane se guzrī
vo kyā zindagī thī jo pur-nam laboñ ko
yuuñ dāñtoñ ke andar dabāne se guzrī
bajī taal jab bhī tirī dhaḌkanoñ kī
vo lafzoñ ke andar fasāne se guzrī
ik āshiq ne phūloñ kī bārish sī kar dī
sunā hai vo jab āstāne se guzrī
kabhī tum to aaogī ye aah sun kar
hai ab tak kisī is bahāne se guzrī
jo guzrī ḳhayāloñ ke markaz pe baiThe
vo kāñdhe pe sar ko jhukāne se guzrī
amaltās kī pattiyoñ kī darī par
ghaḌī tum ko dukhḌā sunāne se guzrī
ye hairān dil hai 'murād'-e-jahāñ kā
hai jis pe fanā kuchh chhupāne se guzrī
wo karwaT ba karwaT sirhane se guzri
meri raat tum ko manane se guzri
jo guzri na thi hijr ke gulsitan se
wo chahat mein apne Thikane se guzri
jigar mein mere hai ye kya hashr barpa
ye guzri hai jo pas aane se guzri
wo kya zindagi thi jo pur-nam labon ko
yun danton ke andar dabane se guzri
baji tal jab bhi teri dhaDkanon ki
wo lafzon ke andar fasane se guzri
ek aashiq ne phulon ki barish si kar di
suna hai wo jab aastane se guzri
kabhi tum to aaogi ye aah sun kar
hai ab tak kisi is bahane se guzri
jo guzri KHayalon ke markaz pe baiThe
wo kandhe pe sar ko jhukane se guzri
amaltas ki pattiyon ki dari par
ghaDi tum ko dukhDa sunane se guzri
ye hairan dil hai 'murad'-e-jahan ka
hai jis pe fana kuchh chhupane se guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.