wo kaun dil hai jahan jalwa-gar wo nur nahin
wo kaun dil hai jahan jalwa-gar wo nur nahin
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
vo kaun dil hai jahāñ jalva-gar vo nuur nahīñ
is āftāb kā kis zarre meñ zuhūr nahīñ
koī shitāb ḳhabar lo ki be-namak hai bahār
chaman ke beach divānoñ kā ab ke shor nahīñ
tajalliyoñ se pahuñchtā hai kab use aaseb
sanam-kada hai na āḳhir ye koh-e-tūr nahīñ
tire safar kī ḳhabar sun ke jaan dhaḌkoñ se
jo pahuñchūñ marg ke nazdīk maiñ to duur nahīñ
koī bhī detā hai laḌkoñ ke haath shīsha-e-dil
'yaqīñ' maiñ ġhaur se dekhā to kuchh shu.ūr nahīñ
wo kaun dil hai jahan jalwa-gar wo nur nahin
is aaftab ka kis zarre mein zuhur nahin
koi shitab KHabar lo ki be-namak hai bahaar
chaman ke beach diwanon ka ab ke shor nahin
tajalliyon se pahunchta hai kab use aaseb
sanam-kada hai na aaKHir ye koh-e-tur nahin
tere safar ki KHabar sun ke jaan dhaDkon se
jo pahunchun marg ke nazdik main to dur nahin
koi bhi deta hai laDkon ke hath shisha-e-dil
'yaqin' main ghaur se dekha to kuchh shuur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.