wo kaun hai fursat se mujhe yaad kare hai
wo kaun hai fursat se mujhe yaad kare hai
Haleema Sadiya Shagufta
MORE BYHaleema Sadiya Shagufta
vo kaun hai fursat se mujhe yaad kare hai
dil ġham se ho māmūr to vo shaad kare hai
phir dījiye dīvāne kī himmat ko zarā daad
vīrāne kā vīrāna jo ābād kare hai
sarmāya mohabbat kā tirī jis ne hai luuTā
kyā degā vo kyoñ us se tū fariyād kare hai
T v ke hasīñ ruup meñ hai kaisī taraqqī
kirdār javānoñ kā jo barbād kare hai
aa.egī kabhī sub.h-e-sukūñ-baḳhsh yahāñ bhī
ummīd yahī dard se āzād kare hai
ik shaan se kartī huuñ gavārā use har din
jo tarz-e-sitam roz vo ījād kare hai
vo jis ne kabhī zaḳhm khilā.e the 'shagufta'
kyā soch ke phir us ko hī tū yaad kare hai
wo kaun hai fursat se mujhe yaad kare hai
dil gham se ho mamur to wo shad kare hai
phir dijiye diwane ki himmat ko zara dad
virane ka virana jo aabaad kare hai
sarmaya mohabbat ka teri jis ne hai luTa
kya dega wo kyon us se tu fariyaad kare hai
T w ke hasin rup mein hai kaisi taraqqi
kirdar jawanon ka jo barbaad kare hai
aaegi kabhi subh-e-sukun-baKHsh yahan bhi
ummid yahi dard se aazad kare hai
ek shan se karti hun gawara use har din
jo tarz-e-sitam roz wo ijad kare hai
wo jis ne kabhi zaKHm khilae the 'shagufta'
kya soch ke phir us ko hi tu yaad kare hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.