Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kaun hai wo kya hai jo is dil mein chhupa hai

Mayank Awasthi

wo kaun hai wo kya hai jo is dil mein chhupa hai

Mayank Awasthi

MORE BYMayank Awasthi

    vo kaun hai vo kyā hai jo is dil meñ chhupā hai

    jaise ki koī saañp kisī bil meñ chhupā hai

    kyuuñ dauḌ ke aatī haiñ idhar maujeñ musalsal

    kyā kam hai samundar meñ jo sāhil meñ chhupā hai

    ik ruuh bulātī hai anāsir ke qafas se

    par hosh kisī ḳhvāb mahfil meñ chhupā hai

    siine ko mire sañg vo hone nahīñ detā

    kuchh mom ke jaisā bhī isī sil meñ chhupā hai

    maiñ kaise dikhā.ūñ ki vo lafzoñ se banā hai

    ik tiir jo is sīna-e-bismil meñ chhupā hai

    dhaḌkan ko mirī chhū ke parakhtā hai palaT kar

    ik ḳhauf abhī tak mire qātil meñ chhupā hai

    wo kaun hai wo kya hai jo is dil mein chhupa hai

    jaise ki koi sanp kisi bil mein chhupa hai

    kyun dauD ke aati hain idhar maujen musalsal

    kya kam hai samundar mein jo sahil mein chhupa hai

    ek ruh bulati hai anasir ke qafas se

    par hosh kisi KHwab ki mahfil mein chhupa hai

    sine ko mere sang wo hone nahin deta

    kuchh mom ke jaisa bhi isi sil mein chhupa hai

    main kaise dikhaun ki wo lafzon se bana hai

    ek tir jo is sina-e-bismil mein chhupa hai

    dhaDkan ko meri chhu ke parakhta hai palaT kar

    ek KHauf abhi tak mere qatil mein chhupa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now