wo kaun tha jo barsar-e-paikar mujh mein tha
vo kaun thā jo barsar-e-paikār mujh meñ thā
andhī anā thī nashsha-e-pindār mujh meñ thā
ik jang ḳhair-o-shar kī thī barpā vajūd meñ
ik jazba thā jo barsar-e-paikār mujh meñ thā
tū dasht-e-be-hisī meñ Thahartā bhī kab talak
ai jazba-e-junūñ tirā iz.hār mujh meñ thā
kaise nibard-āzmā dushman se ho gayā
vahshī havā sā koī to fankār mujh meñ thā
duniyā ḳharīd lī thī magar ye ḳhabar na thī
mere vajūd kā bhī ḳharīdār mujh meñ thā
thiiñ ḳhvāb ḳhvāb āñkheñ dar-e-yār par lagī
kahtā maiñ kaise dīda-e-bedār mujh meñ thā
chuntā rahā guloñ kī tarah ḳhār-ḳhār zaḳhm
jaise ki koī shahr-e-dil-āzār mujh meñ thā
dushvār ho ga.ī thī tumhārī talāsh bhī
vo kaun thā jo sāya-e-dīvār mujh meñ thā
kyoñ sher-e-shor-ḳhez hai barham the vo 'nazar'
kyoñ itnā tez-tar mirā iz.hār mujh meñ thā
wo kaun tha jo barsar-e-paikar mujh mein tha
andhi ana thi nashsha-e-pindar mujh mein tha
ek jang KHair-o-shar ki thi barpa wajud mein
ek jazba tha jo barsar-e-paikar mujh mein tha
tu dasht-e-be-hisi mein Thaharta bhi kab talak
ai jazba-e-junun tera izhaar mujh mein tha
kaise nibard-azma dushman se ho gaya
wahshi hawa sa koi to fankar mujh mein tha
duniya KHarid li thi magar ye KHabar na thi
mere wajud ka bhi KHaridar mujh mein tha
thin KHwab KHwab aankhen dar-e-yar par lagi
kahta main kaise dida-e-bedar mujh mein tha
chunta raha gulon ki tarah KHar-KHar zaKHm
jaise ki koi shahr-e-dil-azar mujh mein tha
dushwar ho gai thi tumhaari talash bhi
wo kaun tha jo saya-e-diwar mujh mein tha
kyon sher-e-shor-KHez hai barham the wo 'nazar'
kyon itna tez-tar mera izhaar mujh mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.