wo Khaali hath safar-e-ab par rawana hua
vo ḳhālī haath safar-e-āb par ravāna huā
ḳhabar na thī ki samundar tahī-ḳhazāna huā
bichhaḌte vaqt thā dil meñ ġhubār us se magar
suḳhan hī talḳh na lahja shikāyatāna huā
havā bhī tez na thī mo.atadil thā mausam bhī
zamīn paañv ke nīche thī ik zamāna huā
wo KHali hath safar-e-ab par rawana hua
KHabar na thi ki samundar tahi-KHazana hua
bichhaDte waqt tha dil mein ghubar us se magar
suKHan hi talKH na lahja shikayatana hua
hawa bhi tez na thi moatadil tha mausam bhi
zamin panw ke niche thi ek zamana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.