wo KHayalon mein bhi is tarah guzar jate hain
vo ḳhayāloñ meñ bhī is tarah guzar jaate haiñ
un ke gesū mire shānoñ pe bikhar jaate haiñ
zindagī un kī bhī hai ek muhājir kī tarah
ashk bechāre kahāñ lauT ke ghar jaate haiñ
pahle ḳhud aa ke sañvarte the vo ā.īne meñ
ab unheñ dekh ke ā.īne sañvar jaate haiñ
hādse itne guzarte haiñ hamāre dil par
ham to bachchoñ kī tarah ḳhvāb meñ Dar jaate haiñ
dil ko taskīn na miltī thī kabhī jin ke baġhair
haa.e vo chehre bhī kyoñ dil se utar jaate haiñ
wo KHayalon mein bhi is tarah guzar jate hain
un ke gesu mere shanon pe bikhar jate hain
zindagi un ki bhi hai ek muhajir ki tarah
ashk bechaare kahan lauT ke ghar jate hain
pahle KHud aa ke sanwarte the wo aaine mein
ab unhen dekh ke aaine sanwar jate hain
hadse itne guzarte hain hamare dil par
hum to bachchon ki tarah KHwab mein Dar jate hain
dil ko taskin na milti thi kabhi jin ke baghair
hae wo chehre bhi kyon dil se utar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.