wo KHud apne se jab mila hoga
vo ḳhud apne se jab milā hogā
do ghaḌī ko to kho gayā hogā
log milte haiñ be-ġharaz ab bhī
koī afsāna sun liyā hogā
kis tavaqqo pe intizār kareñ
thā vo jhoñkā guzar gayā hogā
kyā milā raat bhar bhaTakne se
chāñd ḳhud bhī ye sochtā hogā
koī ḳhushbū jagā.egī phir se
phir nayā koī silsila hogā
mujh ko jis par gumāñ huā us kā
hai yaqīñ koī dūsrā hogā
'zahrā' jo dekhūñ sochtī huuñ vahī
sochnā chhoḌ duuñ to kyā hogā
wo KHud apne se jab mila hoga
do ghaDi ko to kho gaya hoga
log milte hain be-gharaz ab bhi
koi afsana sun liya hoga
kis tawaqqo pe intizar karen
tha wo jhonka guzar gaya hoga
kya mila raat bhar bhaTakne se
chand KHud bhi ye sochta hoga
koi KHushbu jagaegi phir se
phir naya koi silsila hoga
mujh ko jis par guman hua us ka
hai yaqin koi dusra hoga
'zahra' jo dekhun sochti hun wahi
sochna chhoD dun to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.