wo KHud ko reshmi kapDon se ahl-e-zar samajhte hain
wo KHud ko reshmi kapDon se ahl-e-zar samajhte hain
Muhibur Rahman Wafa
MORE BYMuhibur Rahman Wafa
vo ḳhud ko reshmī kapḌoñ se ahl-e-zar samajhte haiñ
sarāboñ kī chamak ko jhiil kā manzar samajhte haiñ
adab ke āsmāñ par hai sitāroñ tak chamak jin kī
unheñ manzil nahīñ ham miil kā patthar samajhte haiñ
mire bachche bahal jaate haiñ kāġhaz ke khilaunoñ se
ġharībī ke taqāze kyā haiñ vo behtar samajhte haiñ
chatā.ī par hī mīThī niiñd so jaate haiñ mehnat-kash
use kamḳhāb kā ārām vo bistar samajhte haiñ
samundar apne aape se kabhī bāhar nahīñ hotā
magar bārish meñ naale ḳhud ko hī bartar samajhte haiñ
ham apne fikr-o-fan se us meñ gul buuTe khilā.enge
zamīñ kuchh saḳht hai to nā-samajh banjar samajhte haiñ
wo KHud ko reshmi kapDon se ahl-e-zar samajhte hain
sarabon ki chamak ko jhil ka manzar samajhte hain
adab ke aasman par hai sitaron tak chamak jin ki
unhen manzil nahin hum mil ka patthar samajhte hain
mere bachche bahal jate hain kaghaz ke khilaunon se
gharibi ke taqaze kya hain wo behtar samajhte hain
chatai par hi miThi nind so jate hain mehnat-kash
use kamKHab ka aaram wo bistar samajhte hain
samundar apne aape se kabhi bahar nahin hota
magar barish mein nale KHud ko hi bartar samajhte hain
hum apne fikr-o-fan se us mein gul buTe khilaenge
zamin kuchh saKHt hai to na-samajh banjar samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.