wo KHud-parast hai aur KHud-shanas main bhi nahin
vo ḳhud-parast hai aur ḳhud-shanās maiñ bhī nahīñ
fareb-ḳhurda-vahm-o-qayās maiñ bhī nahīñ
fazā-e-shahr-e-talab hai anā-guzīda bahut
adā-shanās rah-e-iltimās maiñ bhī nahīñ
maiñ kyuuñ kahūñ ki zamāna nahīñ hai raas mujhe
maiñ dekhtā huuñ zamāne ko raas maiñ bhī nahīñ
ye vāqi.a ki tujhe khal rahī hai tanhā.ī
ye hādsa ki tire ās-pās maiñ bhī nahīñ
huā kare jo hai 'ḳhāvar' fazā ḳhilāf mire
asīr-e-halqa-e-ḳhauf-o-hirās maiñ bhī nahīñ
wo KHud-parast hai aur KHud-shanas main bhi nahin
fareb-KHurda-wahm-o-qayas main bhi nahin
faza-e-shahr-e-talab hai ana-guzida bahut
ada-shanas rah-e-iltimas main bhi nahin
main kyun kahun ki zamana nahin hai ras mujhe
main dekhta hun zamane ko ras main bhi nahin
ye waqia ki tujhe khal rahi hai tanhai
ye hadsa ki tere aas-pas main bhi nahin
hua kare jo hai 'KHawar' faza KHilaf mere
asir-e-halqa-e-KHauf-o-hiras main bhi nahin
- Book : Pakistani Adab (Pg. 452)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.