wo KHud se dur hota ja raha hai
vo ḳhud se duur hotā jā rahā hai
bahut mash.hūr hotā jā rahā hai
jise thā naaz apnī dilkashī par
vo shīsha chuur hotā jā rahā hai
kahāñ hijrat kare zaḳhmī parinda
bahut majbūr hotā jā rahā hai
purānā zaḳhm jo tū ne diyā thā
vo ab nāsūr hotā jā rahā hai
milī hai yaar us ko kaisī shohrat
baḌā maġhrūr hotā jā rahā hai
ḳhushī kā 'nasr' jo lamha milā thā
vo ab kāfūr hotā jā rahā hai
wo KHud se dur hota ja raha hai
bahut mashhur hota ja raha hai
jise tha naz apni dilkashi par
wo shisha chur hota ja raha hai
kahan hijrat kare zaKHmi parinda
bahut majbur hota ja raha hai
purana zaKHm jo tu ne diya tha
wo ab nasur hota ja raha hai
mili hai yar us ko kaisi shohrat
baDa maghrur hota ja raha hai
KHushi ka 'nasr' jo lamha mila tha
wo ab kafur hota ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.