wo KHush-jamal na ho chehra aaftab na ho
vo ḳhush-jamāl na ho chehra āftāb na ho
magar kisī meñ use dekhne kī taab na ho
agarche us kā irāda ho kāmyābī kā
magar vo apne irāde meñ kāmyāb na ho
na hoñ shumār diye jaa.eñ itne zaḳhm hameñ
sitam ho itnā ki jis kā koī hisāb na ho
nichoḌtā rahūñ tujh lab se maiñ sharāb-e-hayāt
so kar du'ā ki tirā zā.iqa ḳharāb na ho
vo ḳhush-badan ki tamanna ho jis ko chhūne kī
ḳhudā kare ki kabhī tujh ko dastyāb na ho
ki kāTnī hī na paḌ jaa.e 'umr bhar kī sazā
kisī se jurm-e-mohabbat kā irtikāb na ho
bacho jo tum ko nigal jaa.e aisī ḳhalvat se
aur aisī bazm se jis meñ koī sharāb na ho
hasīn bhī ho zehānat bhī ḳhuub ho lekin
tamām 'umr kisī kā vo intiḳhāb na ho
vo shaḳhs jis ko mohabbat nahīñ huī ho kabhī
aur ek baaġh ki jis meñ koī gulāb na ho
mujhe safar kī ijāzat to mil ga.ī hai 'doraib'
magar ye Dar hai ki ab rāsta ḳharāb na ho
wo KHush-jamal na ho chehra aaftab na ho
magar kisi mein use dekhne ki tab na ho
agarche us ka irada ho kaamyabi ka
magar wo apne irade mein kaamyab na ho
na hon shumar diye jaen itne zaKHm hamein
sitam ho itna ki jis ka koi hisab na ho
nichoDta rahun tujh lab se main sharab-e-hayat
so kar du'a ki tera zaiqa KHarab na ho
wo KHush-badan ki tamanna ho jis ko chhune ki
KHuda kare ki kabhi tujh ko dastyab na ho
ki kaTni hi na paD jae 'umr bhar ki saza
kisi se jurm-e-mohabbat ka irtikab na ho
bacho jo tum ko nigal jae aisi KHalwat se
aur aisi bazm se jis mein koi sharab na ho
hasin bhi ho zehanat bhi KHub ho lekin
tamam 'umr kisi ka wo intiKHab na ho
wo shaKHs jis ko mohabbat nahin hui ho kabhi
aur ek bagh ki jis mein koi gulab na ho
mujhe safar ki ijazat to mil gai hai 'doraib'
magar ye Dar hai ki ab rasta KHarab na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.