wo KHush-libas bhi KHush-dil bhi KHush-ada bhi hai
Interesting Fact
niraa buraa nahii.n ye shaGl kuchh bhalaa bhii hai (Inamullah Yaqeen)
vo ḳhush-libās bhī ḳhush-dil bhī ḳhush-adā bhī hai
magar vo ek hai kyuuñ us se ye gila bhī hai
hamesha mandir-o-masjid meñ vo nahīñ rahtā
sunā hai bachchoñ meñ chhup kar vo kheltā bhī hai
na jaane ek meñ us jaise aur kitne haiñ
vo jitnā paas hai utnā hī vo judā bhī hai
vahī amiir jo rozī-rasāñ hai aalam kā
faqīr ban ke kabhī bhiik māñgtā bhī hai
akelā hotā to kuchh aur faisla hotā
mirī shikast meñ shāmil mirī duā bhī hai
wo KHush-libas bhi KHush-dil bhi KHush-ada bhi hai
magar wo ek hai kyun us se ye gila bhi hai
hamesha mandir-o-masjid mein wo nahin rahta
suna hai bachchon mein chhup kar wo khelta bhi hai
na jaane ek mein us jaise aur kitne hain
wo jitna pas hai utna hi wo juda bhi hai
wahi amir jo rozi-rasan hai aalam ka
faqir ban ke kabhi bhik mangta bhi hai
akela hota to kuchh aur faisla hota
meri shikast mein shamil meri dua bhi hai
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 610)
- Author : Shahid Mahili
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.