Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo KHwab talabgar-e-tamasha bhi nahin hai

Kabir Ajmal

wo KHwab talabgar-e-tamasha bhi nahin hai

Kabir Ajmal

MORE BYKabir Ajmal

    vo ḳhvāb talabgār-e-tamāshā bhī nahīñ hai

    kahte haiñ kisī ne use dekhā bhī nahīñ hai

    pahlī vo ḳhushbu-e-tamannā bhī nahīñ hai

    is baar koī ḳhauf havā bhī nahīñ hai

    us chāñd añgḌā.ī se raushan haiñ dar o baam

    jo parda-e-shab-rañg pe ubhrā bhī nahīñ hai

    kahte haiñ ki uThne ko hai ab rasm-e-mohabbat

    aur is ke sivā koī tamāshā bhī nahīñ hai

    is shahr pahchān thiiñ vo phuul āñkheñ

    ab yuuñ hai ki un āñkhoñ charchā bhī nahīñ hai

    kyuuñ baam pe āvāzoñ dhammāl hai 'ajmal'

    is ghar pe to aaseb saaya bhī nahīñ hai

    wo KHwab talabgar-e-tamasha bhi nahin hai

    kahte hain kisi ne use dekha bhi nahin hai

    pahli si wo KHushbu-e-tamanna bhi nahin hai

    is bar koi KHauf hawa ka bhi nahin hai

    us chand ki angDai se raushan hain dar o baam

    jo parda-e-shab-rang pe ubhra bhi nahin hai

    kahte hain ki uThne ko hai ab rasm-e-mohabbat

    aur is ke siwa koi tamasha bhi nahin hai

    is shahr ki pahchan thin wo phul si aankhen

    ab yun hai ki un aankhon ka charcha bhi nahin hai

    kyun baam pe aawazon ka dhammal hai 'ajmal'

    is ghar pe to aaseb ka saya bhi nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now