wo KHwab tha jo tabir kar diya hai mujhe
vo ḳhvāb thā jo ta.abīr kar diyā hai mujhe
añdhere rastoñ meñ tanvīr kar diyā hai mujhe
maiñ laḳht laḳht thī jab tak na vo milā thā mujhe
vo shaḳhs jis ne ki ta.amīr kar diyā hai mujhe
mire vajūd kā har saañs us ke naam huā
vo rāñjhā man kā mire hiir kar diyā hai mujhe
mire sivā na kisī ko milā ye faiz-e-nazar
ajab ki mālik-e-taqdīr kar diyā hai mujhe
ḳhudā.e ishq-o-mohabbat ġhurūr 'nig.hat' dekh
nigāh-e-yār ne tasvīr kar diyā hai mujhe
wo KHwab tha jo tabir kar diya hai mujhe
andhere raston mein tanwir kar diya hai mujhe
main laKHt laKHt thi jab tak na wo mila tha mujhe
wo shaKHs jis ne ki tamir kar diya hai mujhe
mere wajud ka har sans us ke nam hua
wo ranjha man ka mere hir kar diya hai mujhe
mere siwa na kisi ko mila ye faiz-e-nazar
ajab ki malik-e-taqdir kar diya hai mujhe
KHudae ishq-o-mohabbat ghurur 'nighat' dekh
nigah-e-yar ne taswir kar diya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.