wo KHwabon mein to aana chahta hai
vo ḳhvāboñ meñ to aanā chāhtā hai
magar nīñdeñ uḌānā chāhtā hai
jise maiñ ne bachāyā zulmatoñ se
diyā merā bujhānā chāhtā hai
use kahnā tumhārā haal sun kar
koī aañsū bahānā chāhtā hai
laboñ se kuchh bhī kahtā hī nahīñ hai
vo āñkhoñ se jatānā chāhtā hai
vo da.ave achchhe din ke karke 'āqib'
hameñ pāgal banānā chāhtā hai
wo KHwabon mein to aana chahta hai
magar ninden uDana chahta hai
jise main ne bachaya zulmaton se
diya mera bujhana chahta hai
use kahna tumhaara haal sun kar
koi aansu bahana chahta hai
labon se kuchh bhi kahta hi nahin hai
wo aankhon se jatana chahta hai
wo dawe achchhe din ke karke 'aqib'
hamein pagal banana chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.