wo kis pyar se kosne de rahe hain
vo kis pyaar se kosne de rahe haiñ
balā.eñ adāvat kī ham le rahe haiñ
paḌe haiñ vo ishrat-kade aaj vīrāñ
jahāñ yaar logoñ ke jalse rahe haiñ
bure aur achchhoñ ke haiñ zikr baaqī
bure hī rahe haiñ na achchhe rahe haiñ
payāmī se kahte haiñ kis ne kahā thā
vo kyuuñ raat bhar yuuñ taḌapte rahe haiñ
zabāñ thak ga.ī kosne dete dete
bas ab ḳhair se chuTkiyāñ le rahe haiñ
na.e daaġh khaa.e haiñ kyā aaj dil par
ye gul to hamesha hī khilte rahe haiñ
jahāñ mil ke baiThe haiñ do-chār ham-sin
hamāre tumhāre hī charche rahe haiñ
'zahīr' aah din zindagānī ke apne
bahut jā chuke aur thoḌe rahe haiñ
wo kis pyar se kosne de rahe hain
balaen adawat ki hum le rahe hain
paDe hain wo ishrat-kade aaj viran
jahan yar logon ke jalse rahe hain
bure aur achchhon ke hain zikr baqi
bure hi rahe hain na achchhe rahe hain
payami se kahte hain kis ne kaha tha
wo kyun raat bhar yun taDapte rahe hain
zaban thak gai kosne dete dete
bas ab KHair se chuTkiyan le rahe hain
nae dagh khae hain kya aaj dil par
ye gul to hamesha hi khilte rahe hain
jahan mil ke baiThe hain do-chaar ham-sin
hamare tumhaare hi charche rahe hain
'zahir' aah din zindagani ke apne
bahut ja chuke aur thoDe rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.