wo kisi aur samt jate rahe
vo kisī aur samt jaate rahe
ham faqat apnā dil jalāte rahe
us kī añgḌā.ī kyā qayāmat thī
ham na.e zāviye banāte rahe
har taraf raat kā nazāra thā
dil banā kar diyā jalāte rahe
us ke lahje se lag rahā thā ki ham
pattharoñ ko ġhazal sunāte rahe
ham faqat zāhidān-e-ḳhushk nahīñ
baat bigḌī huī banāte rahe
us kī āñkheñ thiiñ aam sī āñkheñ
ham-suḳhan yūñhī Dagmagāte rahe
duniyā rotī rahī magar ham log
qahqahoñ meñ kasak chhupāte rahe
wo kisi aur samt jate rahe
hum faqat apna dil jalate rahe
us ki angDai kya qayamat thi
hum nae zawiye banate rahe
har taraf raat ka nazara tha
dil bana kar diya jalate rahe
us ke lahje se lag raha tha ki hum
pattharon ko ghazal sunate rahe
hum faqat zahidan-e-KHushk nahin
baat bigDi hui banate rahe
us ki aankhen thin aam si aankhen
ham-suKHan yunhi Dagmagate rahe
duniya roti rahi magar hum log
qahqahon mein kasak chhupate rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.