Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kisi bhi aks-e-jamal mein nahin aaega

Noon Meem Danish

wo kisi bhi aks-e-jamal mein nahin aaega

Noon Meem Danish

MORE BYNoon Meem Danish

    vo kisī bhī aks-e-jamāl meñ nahīñ aa.egā

    vo javāb hai to savāl meñ nahīñ aa.egā

    nahīñ aa.egā vo kisī bhī harf o bayān meñ

    vo kisī nazīr-o-misāl meñ nahīñ aa.egā

    use Dhālnā hai ḳhayāl meñ kisī aur Dhab

    vo shabāhat-o-ḳhad-o-ḳhāl meñ nahīñ aa.egā

    vo jo shahsavār hai teġh-zan rah-e-zindagī

    mire saath vaqt-e-zavāl meñ nahīñ aa.egā

    yahāñ kaun thā jo salāmtī se guzar gayā

    yahāñ kaun hai jo vabāl meñ nahīñ aa.egā

    use lā.ūñgā maiñ sukūt-e-harf-o-sadā meñ bhī

    vo suḳhan kabhī jo savāl meñ nahīñ aa.egā

    jo haiñ muntazir baḌī der se unheñ kyā ḳhabar

    nahīñ aa.egā kisī haal meñ nahīñ aa.egā

    wo kisi bhi aks-e-jamal mein nahin aaega

    wo jawab hai to sawal mein nahin aaega

    nahin aaega wo kisi bhi harf o bayan mein

    wo kisi nazir-o-misal mein nahin aaega

    use Dhaalna hai KHayal mein kisi aur Dhab

    wo shabahat-o-KHad-o-KHal mein nahin aaega

    wo jo shahsawar hai tegh-zan rah-e-zindagi

    mere sath waqt-e-zawal mein nahin aaega

    yahan kaun tha jo salamti se guzar gaya

    yahan kaun hai jo wabaal mein nahin aaega

    use launga main sukut-e-harf-o-sada mein bhi

    wo suKHan kabhi jo sawal mein nahin aaega

    jo hain muntazir baDi der se unhen kya KHabar

    nahin aaega kisi haal mein nahin aaega

    Source :
    • Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 22.12.2015)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now