wo kisi taur kisi lamha nazar bhi aate
vo kisī taur kisī lamha nazar bhī aate
zinda hote to kabhī lauT ke ghar bhī aate
āsmāñ ham pe agar nazr-e-ināyat kartā
ḳhair-maqdam ke liye shams-o-qamar bhī aate
jin ke kirdār kī ḳhushbū se mahaktī hai fazā
aise mehmān kabhī to mire ghar bhī aate
maiñ agar hotā zamīñ-zādoñ ke lashkar meñ sharīk
mere raste meñ samundar bhī bhañvar bhī aate
merī be-laus mohabbat kā taqāza hai yahī
mujh se milne vo kabhī to mire ghar bhī aate
bādshāhī se adāvat sī rahī hai varna
kuchh ilāqe to mire zer-e-asar bhī aate
sabr se tum ne agar kaam liyā hotā 'riyāz'
ġham ke peḌoñ pe masarrat ke samar bhī aate
wo kisi taur kisi lamha nazar bhi aate
zinda hote to kabhi lauT ke ghar bhi aate
aasman hum pe agar nazr-e-inayat karta
KHair-maqdam ke liye shams-o-qamar bhi aate
jin ke kirdar ki KHushbu se mahakti hai faza
aise mehman kabhi to mere ghar bhi aate
main agar hota zamin-zadon ke lashkar mein sharik
mere raste mein samundar bhi bhanwar bhi aate
meri be-laus mohabbat ka taqaza hai yahi
mujh se milne wo kabhi to mere ghar bhi aate
baadshahi se adawat si rahi hai warna
kuchh ilaqe to mere zer-e-asar bhi aate
sabr se tum ne agar kaam liya hota 'riyaz'
gham ke peDon pe masarrat ke samar bhi aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.