wo kitna dil-nashin kitna hasin hai
vo kitnā dil-nashīñ kitnā hasīñ hai
use bhī is kā andāza nahīñ hai
tasavvur meñ koī zohra-jabīñ hai
nigāhoñ meñ har ik manzar hasīñ hai
mohabbat ho ga.ī pākīza ya.anī
koī armān ab dil meñ nahīñ hai
nazar aatā nahīñ apne ko maiñ ḳhud
ye kyā sahar-e-nigāh-e-avvalīñ hai
maiñ kyā jā.ūñ ab us ke āstāñ par
jabīñ sajdoñ ke qābil hī nahīñ hai
ye merāj-e-tasavvur hai ki vo ab
nazar ke sāmne hai aur nahīñ hai
vo manzil aa ga.ī dīvāngī kī
na dāman hai na jeb-o-āstīñ hai
kisī ko kam kisī ko hai ziyāda
hai kaun aisā ki jis ko ġham nahīñ hai
muqaddar par huuñ maiñ ai 'nūr' nāzāñ
dar-e-jānāñ hai aur merī jabīñ hai
wo kitna dil-nashin kitna hasin hai
use bhi is ka andaza nahin hai
tasawwur mein koi zohra-jabin hai
nigahon mein har ek manzar hasin hai
mohabbat ho gai pakiza yani
koi arman ab dil mein nahin hai
nazar aata nahin apne ko main KHud
ye kya sahar-e-nigah-e-awwalin hai
main kya jaun ab us ke aastan par
jabin sajdon ke qabil hi nahin hai
ye meraj-e-tasawwur hai ki wo ab
nazar ke samne hai aur nahin hai
wo manzil aa gai diwangi ki
na daman hai na jeb-o-astin hai
kisi ko kam kisi ko hai ziyaada
hai kaun aisa ki jis ko gham nahin hai
muqaddar par hun main ai 'nur' nazan
dar-e-jaanan hai aur meri jabin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.