wo kitna TuT chuka hai ye koi jaan na le
vo kitnā TuuT chukā hai ye koī jaan na le
ġham-e-hayāt tū aur us kā imtihān na le
nasīb hogī tujhe manzil-e-murād ik din
kisī shajar kā koī bhī tū sā.ebān na le
usī pe chhoḌ de ab jo hai kā.enāt kā rab
ye terā kaam nahīñ tū kisī kī jaan na le
tire adū haiñ tirī ghaat meñ yahāñ har sū
tū is nagar meñ kirā.e kā ab makān na le
maiñ us kī bazm se tab tak na uTThūñgā 'tābāñ'
mirā vo mashvara jab tak ki aaj maan na le
wo kitna TuT chuka hai ye koi jaan na le
gham-e-hayat tu aur us ka imtihan na le
nasib hogi tujhe manzil-e-murad ek din
kisi shajar ka koi bhi tu saeban na le
usi pe chhoD de ab jo hai kaenat ka rab
ye tera kaam nahin tu kisi ki jaan na le
tere adu hain teri ghat mein yahan har su
tu is nagar mein kirae ka ab makan na le
main us ki bazm se tab tak na uTThunga 'taban'
mera wo mashwara jab tak ki aaj man na le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.