wo kitni der khaDa sochta raha mujhko
vo kitnī der khaḌā sochtā rahā mujh ko
gale lagā to pata bhī nahīñ chalā mujh ko
na jaane maiñ tere pahlū meñ kaise baiTh gayā
mirī jagah hī nahīñ hai abhī uThā mujh ko
tire ḳhayāl se baḌh kar hai ḳhālī-pan merā
kahāñ kahāñ se bharegā tirā ḳhalā mujh ko
vo mere sāmne tauhīn kar gayā merī
aur is pe ye ki burā bhī nahīñ lagā mujh ko
maiñ pahlī baar huuñ zer-e-mutāla 'dānish'
abhī kahīñ pe nishāñ tak nahīñ lagā mujh ko
wo kitni der khaDa sochta raha mujh ko
gale laga to pata bhi nahin chala mujh ko
na jaane main tere pahlu mein kaise baiTh gaya
meri jagah hi nahin hai abhi uTha mujh ko
tere KHayal se baDh kar hai KHali-pan mera
kahan kahan se bharega tera KHala mujh ko
wo mere samne tauhin kar gaya meri
aur is pe ye ki bura bhi nahin laga mujh ko
main pahli bar hun zer-e-mutala 'danish'
abhi kahin pe nishan tak nahin laga mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.