wo kiya gaya musallat mera haal dekhne ko
vo kiyā gayā musallat mirā haal dekhne ko
ki urūj-e-zindagānī kā zavāl dekhne ko
ye ajiib mas.ala hai mire us ke darmiyāñ bhī
vo javāb le ke aayā hai savāl dekhne ko
tū badal ke apnā chehra baḌā shādmāñ hai lekin
koī aa.ina to rakh le ḳhad-o-ḳhāl dekhne ko
jahāñ kal basā huā thā mirā shahr ab hai malba
mujhe us ne zindagī dī ye vabāl dekhne ko
na to daad kī tamanna na to shohratoñ kī ḳhvāhish
mirā fan hī aa.ina hai ye kamāl dekhne ko
jo khaḌā huā hai 'anvar' liye sang mere aage
vo hai muztarib lahū kā ye ubaal dekhne ko
wo kiya gaya musallat mera haal dekhne ko
ki uruj-e-zindagani ka zawal dekhne ko
ye ajib masala hai mere us ke darmiyan bhi
wo jawab le ke aaya hai sawal dekhne ko
tu badal ke apna chehra baDa shadman hai lekin
koi aaina to rakh le KHad-o-KHal dekhne ko
jahan kal basa hua tha mera shahr ab hai malba
mujhe us ne zindagi di ye wabaal dekhne ko
na to dad ki tamanna na to shohraton ki KHwahish
mera fan hi aaina hai ye kamal dekhne ko
jo khaDa hua hai 'anwar' liye sang mere aage
wo hai muztarib lahu ka ye ubaal dekhne ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.