wo kuchh is tarah chahta hai mujhe
vo kuchh is tarah chāhtā hai mujhe
apne jaisā banā diyā hai mujhe
is tarah us ne ḳhat likhā hai mujhe
jaise dil se bhulā diyā hai mujhe
gar nahīñ chāhtā tū pichhle pahar
kyuuñ duāoñ meñ māñgtā hai mujhe
jis pe phalte nahīñ duā ke peḌ
us zamīñ se pukārtā hai mujhe
taḳhliye meñ na jaane kitnī baar
likhte likhte haTā chukā hai mujhe
lamha lamha ugāne kī dhun meñ
qatra qatra Dubā rahā hai mujhe
vāsta de ke mausamoñ kā 'nizām'
vo daraḳhtoñ se māñgtā hai mujhe
wo kuchh is tarah chahta hai mujhe
apne jaisa bana diya hai mujhe
is tarah us ne KHat likha hai mujhe
jaise dil se bhula diya hai mujhe
gar nahin chahta tu pichhle pahar
kyun duaon mein mangta hai mujhe
jis pe phalte nahin dua ke peD
us zamin se pukarta hai mujhe
taKHliye mein na jaane kitni bar
likhte likhte haTa chuka hai mujhe
lamha lamha ugane ki dhun mein
qatra qatra Duba raha hai mujhe
wasta de ke mausamon ka 'nizam'
wo daraKHton se mangta hai mujhe
- Book : Bayazain Kho Gayee Hain (Pg. 107)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vag Devi Parkashan, Biconer (Rajisthan) (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.