wo kusht-o-KHun wo tashaddud to ek bahana tha
wo kusht-o-KHun wo tashaddud to ek bahana tha
Rahbar Tabani Dariyabadi
MORE BYRahbar Tabani Dariyabadi
vo kusht-o-ḳhūñ vo tashaddud to ik bahāna thā
use to sirf mirā zarf āzmānā thā
sunā hai ahd-e-guzishta ke fard fard kā zehn
urūs-e-fikr-o-nazar kā nigār-ḳhāna thā
mujhe jo dī ga.ī aksar sazā-e-tanhā.ī
vo sab se TuuT ke milne kā shāḳhsāna thā
mirī jagah koī hotā usī kā ho jaatā
us ajnabī kā har andāz vālihāna thā
mirī zarūrateñ merī anā ko le Dūbīñ
i'ānateñ thiiñ kisī kī ki tāziyāna thā
navādirāt se tujh ko agar hai dilchaspī
mujhe na bhuul ki merā bhī ik zamāna thā
jahāñ ye bijliyāñ hotī thiiñ 'rahbar' āsūda
ḳhudā gavāh vo merā hī āshiyāna thā
wo kusht-o-KHun wo tashaddud to ek bahana tha
use to sirf mera zarf aazmana tha
suna hai ahd-e-guzishta ke fard fard ka zehn
urus-e-fikr-o-nazar ka nigar-KHana tha
mujhe jo di gai aksar saza-e-tanhai
wo sab se TuT ke milne ka shaKHsana tha
meri jagah koi hota usi ka ho jata
us ajnabi ka har andaz walihana tha
meri zaruraten meri ana ko le Dubin
i'anaten thin kisi ki ki taziyana tha
nawadiraat se tujh ko agar hai dilchaspi
mujhe na bhul ki mera bhi ek zamana tha
jahan ye bijliyan hoti thin 'rahbar' aasuda
KHuda gawah wo mera hi aashiyana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.