wo kya gaya ki sath mein qarar bhi chala gaya
vo kyā gayā ki saath meñ qarār bhī chalā gayā
vo roz milne-julne kā hañsī kā silsila gayā
vo le gayā hai saath meñ vajūd merā chhīn kar
phir aa.egā vo lauT kar yaqīn bhī dilā gayā
ki jaise har nivāle se namak koī nikāl le
guzar rahī hai zindagī pe zā.iqa chalā gayā
kyā us ke dil meñ baat thī patā nahīñ ye kyoñ kiyā
jalā diyā bujhā gayā bujhā diyā jalā gayā
vo zindagī meñ yak-ba-yak jo chhā gayā havās par
ki jaise kui zalzala ho bām-o-dar hilā gayā
vo chāhe ab karam kare yā de ḳhatāoñ kī sazā
ki kuchh bhī kahne-sunñe kā ab hausla chalā gayā
udaas udaas āñkhoñ se kahā jab us ne alvidā.a
na phir rahīñ shikāyateñ jo thā bhī vo gila gayā
phir us ke baa'd shahr meñ vo raunaqeñ nahīñ rahīñ
rahā vo jab talak yahāñ sabhī kā ġham bhulā gayā
kyoñ soch meñ paḌā huā hai 'sāgar' ab tū mustaqil
burā jo vaqt aaya thā kabhī kā vo chalā gayā
wo kya gaya ki sath mein qarar bhi chala gaya
wo roz milne-julne ka hansi ka silsila gaya
wo le gaya hai sath mein wajud mera chhin kar
phir aaega wo lauT kar yaqin bhi dila gaya
ki jaise har niwale se namak koi nikal le
guzar rahi hai zindagi pe zaiqa chala gaya
kya us ke dil mein baat thi pata nahin ye kyon kiya
jala diya bujha gaya bujha diya jala gaya
wo zindagi mein yak-ba-yak jo chha gaya hawas par
ki jaise kui zalzala ho baam-o-dar hila gaya
wo chahe ab karam kare ya de KHataon ki saza
ki kuchh bhi kahne-sunne ka ab hausla chala gaya
udas udas aankhon se kaha jab us ne alwidaa
na phir rahin shikayaten jo tha bhi wo gila gaya
phir us ke ba'd shahr mein wo raunaqen nahin rahin
raha wo jab talak yahan sabhi ka gham bhula gaya
kyon soch mein paDa hua hai 'sagar' ab tu mustaqil
bura jo waqt aaya tha kabhi ka wo chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.