wo kya jaanen ki dil kyunkar kisi ke dil se milta hai
wo kya jaanen ki dil kyunkar kisi ke dil se milta hai
Taufeeq Hyderabadi
MORE BYTaufeeq Hyderabadi
vo kyā jāneñ ki dil kyūñkar kisī ke dil se miltā hai
ki chhup kar milne vāloñ kā pata mushkil se miltā hai
zabān-e-hāl se kahtī hai barbādī mazāroñ kī
adam kā rāsta ujḌī huī manzil se miltā hai
jhukī jaatī hai gardan bār-e-ehsān-e-muravvat se
ham us se sar se milte haiñ jo ham se dil se miltā hai
ilāhī ye bhī kyā ḳhūñ-gashta hasrat-hā-e-pinhāñ hai
chaman meñ rang-e-gul kyoñ mere ḳhūn-e-dil se miltā hai
maiñ kyā batlā.ūñ ai 'taufīq' lazzat dard-e-pinhāñ kī
pata zaḳhm-e-jigar kā ḳhanjar-e-qātil se miltā hai
wo kya jaanen ki dil kyunkar kisi ke dil se milta hai
ki chhup kar milne walon ka pata mushkil se milta hai
zaban-e-haal se kahti hai barbaadi mazaron ki
adam ka rasta ujDi hui manzil se milta hai
jhuki jati hai gardan bar-e-ehsan-e-murawwat se
hum us se sar se milte hain jo hum se dil se milta hai
ilahi ye bhi kya KHun-gashta hasrat-ha-e-pinhan hai
chaman mein rang-e-gul kyon mere KHun-e-dil se milta hai
main kya batlaun ai 'taufiq' lazzat dard-e-pinhan ki
pata zaKHm-e-jigar ka KHanjar-e-qatil se milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.