wo kya jiyega jis ko koi tajraba na ho
vo kyā jiyegā jis ko koī tajraba na ho
jab tak ki zindagī meñ koī hādisa na ho
kyoñ baar baar aatā hai hoñToñ pe terā naam
tujh se mirā purānā koī silsila na ho
dushvār rāstoñ se Darāte haiñ kaise log
jaise hamārā koī yahāñ rahnumā na ho
kartī huuñ ye duā.eñ ḳhudā se ki merā dost
har baat par ḳhafā ho magar bevafā na ho
mere ḳhudā zamāne kā har ġham qubūl hai
lekin laboñ pe mere kabhī iltijā na ho
kaise basar ho zindagī mujh ko batā.iye
jab tak ki zindagī meñ koī aasrā na ho
koh-e-girāñ hai sāmne ġham kā magar 'sabā'
mumkin nahīñ kahīñ se koī rāsta na ho
wo kya jiyega jis ko koi tajraba na ho
jab tak ki zindagi mein koi hadisa na ho
kyon bar bar aata hai honTon pe tera nam
tujh se mera purana koi silsila na ho
dushwar raston se Daraate hain kaise log
jaise hamara koi yahan rahnuma na ho
karti hun ye duaen KHuda se ki mera dost
har baat par KHafa ho magar bewafa na ho
mere KHuda zamane ka har gham qubul hai
lekin labon pe mere kabhi iltija na ho
kaise basar ho zindagi mujh ko bataiye
jab tak ki zindagi mein koi aasra na ho
koh-e-giran hai samne gham ka magar 'saba'
mumkin nahin kahin se koi rasta na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.