wo kya karen ki apni himaqat se tang hain
vo kyā kareñ ki apnī himāqat se tañg haiñ
jo log merī zaat kī shohrat se tañg haiñ
rāh-e-talab meñ ḳhair-o-ḳhabar kis kī kaun le
sab log apnī apnī zarūrat se tañg haiñ
katrā rahā hai har koī apnoñ se ġhair se
jo mil ga.e to sab kī shikāyat se tañg haiñ
tārīkiyāñ ghanerī haiñ jugnū bhī kyā kare
raste añdherī raat kī zulmat se tañg haiñ
kyā hī maze kī baat hai 'rāqim' yahāñ ke log
ḳhuddār aadmī kī sharāfat se tañg haiñ
wo kya karen ki apni himaqat se tang hain
jo log meri zat ki shohrat se tang hain
rah-e-talab mein KHair-o-KHabar kis ki kaun le
sab log apni apni zarurat se tang hain
katra raha hai har koi apnon se ghair se
jo mil gae to sab ki shikayat se tang hain
tarikiyan ghaneri hain jugnu bhi kya kare
raste andheri raat ki zulmat se tang hain
kya hi maze ki baat hai 'raqim' yahan ke log
KHuddar aadmi ki sharafat se tang hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.