Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo kya likhta jise inkar karte bhi hijab aaya

Arzoo Lakhnavi

wo kya likhta jise inkar karte bhi hijab aaya

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    vo kyā likhtā jise inkār karte bhī hijāb aayā

    javāb-e-ḳhat nahīñ aayā to ye samjho javāb aayā

    qarīb-e-sub.h ye kah kar ajal ne aañkh jhapkā

    are o hijr ke maare tujhe ab tak na ḳhvāb aayā

    dil is āvāz ke sadqe ye mushkil meñ kahā kis ne

    na ghabrānā na ghabrānā maiñ aayā aur shitāb aayā

    koī qitāl-sūrat dekh marne lage us par

    ye maut ik ḳhushnumā parde meñ aa.ī shabāb aayā

    purāne ahd TuuTe ho ga.e paimāñ na.e qaa.em

    banā us ne duniyā dūsrī jo inqalāb aayā

    guzargāh-e-mohabbat ban ga.ī ik mustaqil bastī

    lagā kar aag aayā ghar ko jo ḳhāna-ḳharāb aayā

    muamma ban gayā rāz-e-mohabbat 'ārzū' yūñhī

    vo mujh se pūchhte jhijke mujhe kahte hijāb aayā

    wo kya likhta jise inkar karte bhi hijab aaya

    jawab-e-KHat nahin aaya to ye samjho jawab aaya

    qarib-e-subh ye kah kar ajal ne aankh jhapka di

    are o hijr ke mare tujhe ab tak na KHwab aaya

    dil is aawaz ke sadqe ye mushkil mein kaha kis ne

    na ghabrana na ghabrana main aaya aur shitab aaya

    koi qital-surat dekh li marne lage us par

    ye maut ek KHushnuma parde mein aai ya shabab aaya

    purane ahd TuTe ho gae paiman nae qaem

    bana di us ne duniya dusri jo inqalab aaya

    guzargah-e-mohabbat ban gai ek mustaqil basti

    laga kar aag aaya ghar ko jo KHana-KHarab aaya

    muamma ban gaya raaz-e-mohabbat 'arzu' yunhi

    wo mujh se puchhte jhijke mujhe kahte hijab aaya

    Source :
    • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 38)
    • Author : Farooq Argali
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
    • Edition : 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now