wo lakh apna tha par eatibar kis ka tha
vo laakh apnā thā par e.atibār kis kā thā
koī ye pūchhe hameñ intizār kis kā thā
bagūle uThte the hañste the rahguzāroñ par
havā.eñ sabz thiiñ un meñ ġhubār kis kā thā
diloñ pe chhā.ī huī dhund thī sadāoñ kī
tabāhiyoñ pe magar iḳhtiyār kis kā thā
tamām peḌ zamīñ-bos hue jaate haiñ
bisāt-e-ḳhāk pe phūloñ kā haar kis kā thā
wo lakh apna tha par eatibar kis ka tha
koi ye puchhe hamein intizar kis ka tha
bagule uThte the hanste the rahguzaron par
hawaen sabz thin un mein ghubar kis ka tha
dilon pe chhai hui dhund thi sadaon ki
tabahiyon pe magar iKHtiyar kis ka tha
tamam peD zamin-bos hue jate hain
bisat-e-KHak pe phulon ka haar kis ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.