wo lakh puchhe agar tujhse KHairiyat meri
vo laakh pūchhe agar tujh se ḳhairiyat merī
na kahnā us se sabā tū ye kaifiyat merī
maiñ ek lamha huuñ guzre hue zamāne kā
tumheñ ḳhabar hī nahīñ kyā hai ahmiyat merī
maiñ Duubā rahtā huuñ fikr-e-suḳhan ke dariyā meñ
koī to dekhe zarā aa ke mahviyat merī
tumhāre pyaar ne mash.hūr kar diyā varna
maiñ ik ġharīb bhalā kyā hai haisiyat merī
piye haiñ shukr adā karke sabr ke sāġhar
huī hai sāya-e-sābir meñ tarbiyat merī
maiñ apnī maañ ke qadam chuum kar nikaltā huuñ
isī liye to chamaktī hai shaḳhsiyat merī
zarūr mujh meñ chhupā hai 'jamīl' vo aa kar
banī hai rashk ke qābil jo shaḳhsiyat merī
wo lakh puchhe agar tujh se KHairiyat meri
na kahna us se saba tu ye kaifiyat meri
main ek lamha hun guzre hue zamane ka
tumhein KHabar hi nahin kya hai ahmiyat meri
main Duba rahta hun fikr-e-suKHan ke dariya mein
koi to dekhe zara aa ke mahwiyat meri
tumhaare pyar ne mashhur kar diya warna
main ek gharib bhala kya hai haisiyat meri
piye hain shukr ada karke sabr ke saghar
hui hai saya-e-sabir mein tarbiyat meri
main apni man ke qadam chum kar nikalta hun
isi liye to chamakti hai shaKHsiyat meri
zarur mujh mein chhupa hai 'jamil' wo aa kar
bani hai rashk ke qabil jo shaKHsiyat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.