Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo lamha bhi bit gaya

Krishn Murari

wo lamha bhi bit gaya

Krishn Murari

MORE BYKrishn Murari

    vo lamha bhī biit gayā

    hāsil thā jo sadiyoñ

    be-hangam āvāzoñ

    jalsa nafī nafī thā

    nāgin bal khātā thā

    joban kaalī rātoñ

    jaatī rut nashsha thā

    kuchh sho.ala kuchh shabnam

    jaane kab mahfūz huā

    pahlā dard mohabbat

    dhaḌkan dhaḌkan ruup khulā

    sharmīlī pahchānoñ

    kanchan kanchan pighlā

    rang ruup nikhrā thā

    raat raat bhar jaagā thā

    da.avā shoḳh faqīrī

    shusta shā.ista

    bosa shoḳh taqaddus

    antarman sochoñ

    jhanan jhanan andāz nayā

    jaane kaisī saa.at meñ

    pahlā aañsū Tapkā thā

    ġhāza thā ik chehroñ par

    naqlī muskānoñ

    chāhat añgḌā.ī ko

    mausam ne bhī naapā thā

    qātil se ik lamhe ne

    pīchhe muḌ kar dekhā thā

    dariyā dariyā ghūmī thī

    chanchal be-āb havā

    wo lamha bhi bit gaya

    hasil tha jo sadiyon ka

    be-hangam aawazon ka

    jalsa nafi nafi sa tha

    nagin sa bal khata tha

    joban kali raaton ka

    jati rut ka nashsha tha

    kuchh shoala kuchh shabnam sa

    jaane kab mahfuz hua

    pahla dard mohabbat ka

    dhaDkan dhaDkan rup khula

    sharmili pahchanon ka

    kanchan kanchan pighla sa

    rang rup ka nikhra tha

    raat raat bhar jaga tha

    dawa shoKH faqiri ka

    shusta sa shaista sa

    bosa shoKH taqaddus ka

    antarman ki sochon ka

    jhanan jhanan andaz naya

    jaane kaisi saat mein

    pahla aansu Tapka tha

    ghaza tha ek chehron par

    naqli si muskanon ka

    chahat ki angDai ko

    mausam ne bhi napa tha

    qatil se ek lamhe ne

    pichhe muD kar dekha tha

    dariya dariya ghumi thi

    chanchal si be-ab hawa

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now