wo lams lams mein paida zaban kar dega
vo lams lams meñ paidā zabān kar degā
ḳhamosh rah ke bhī ḳhud ko bayān kar degā
vo apnī zaat meñ rakhtā hai kīmiyā aisī
jo sang-dil hai use mehrbān kar degā
use kamāl-e-fan guftugū meñ hai aisā
zarā sī der meñ sach ko gumān kar degā
mujhe ḳhabar hai chhupā legā sāzisheñ apnī
haTā ke ḳhud ko mujhe darmiyān kar degā
ajab nahīñ ki mujhe sab se munqata.a kar ke
ḳhud apnī samt hī vo merā dhyān kar degā
agar baḌhātā rahā jism meñ tapish yūñhī
jalā ke mere lahū ko duḳhān kar degā
vo rafta-rafta agar dil pe ho gayā qābiz
to phir na sochnā ḳhālī makān kar degā
kabhī jo mauj meñ aaya to dekhnā us ko
mire hī haath meñ apnī kamān kar degā
badan hai us kā kisī husn kī luġhat 'ātir'
ġhalat paḌhā to talaffuz bayān kar degā
wo lams lams mein paida zaban kar dega
KHamosh rah ke bhi KHud ko bayan kar dega
wo apni zat mein rakhta hai kimiya aisi
jo sang-dil hai use mehrban kar dega
use kamal-e-fan guftugu mein hai aisa
zara si der mein sach ko guman kar dega
mujhe KHabar hai chhupa lega sazishen apni
haTa ke KHud ko mujhe darmiyan kar dega
ajab nahin ki mujhe sab se munqata kar ke
KHud apni samt hi wo mera dhyan kar dega
agar baDhata raha jism mein tapish yunhi
jala ke mere lahu ko duKHan kar dega
wo rafta-rafta agar dil pe ho gaya qabiz
to phir na sochna KHali makan kar dega
kabhi jo mauj mein aaya to dekhna us ko
mere hi hath mein apni kaman kar dega
badan hai us ka kisi husn ki lughat 'atir'
ghalat paDha to talaffuz bayan kar dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.