wo lapeT kar nikli tauliye mein baal apne
vo lapeT kar niklī tauliye meñ baal apne
buuñd buuñd bikhre the har taraf ḳhayāl apne
ko.ele kī Dherī par baiTh kar kahā us se
zindagī ke chūlhe meñ jal rahe haiñ saal apne
dosto kisī ne kyā kholne kī ḳhvāhish meñ
jaan ke attachi meñ bhar diye jamāl apne
pūchhtī ho hijrāñ kī kaifiyat kidhar ġham hai
martabān meñ shāyad band haiñ malāl apne
koī aag kā bosa hai kahīñ pe ḳhvāboñ meñ
ham ne apne māthe par likh diye savāl apne
chāhte the sūraj kī dhuup dekhnā lekin
us ne oḌh rakkhī thī chāroñ or shaal apne
qatl to Darāme kā act thā koī 'mansūr'
kis liye lahū se haiñ donoñ haath laal apne
wo lapeT kar nikli tauliye mein baal apne
bund bund bikhre the har taraf KHayal apne
koele ki Dheri par baiTh kar kaha us se
zindagi ke chulhe mein jal rahe hain sal apne
dosto kisi ne kya kholne ki KHwahish mein
jaan ke attachi mein bhar diye jamal apne
puchhti ho hijran ki kaifiyat kidhar gham hai
martaban mein shayad band hain malal apne
koi aag ka bosa hai kahin pe KHwabon mein
hum ne apne mathe par likh diye sawal apne
chahte the suraj ki dhup dekhna lekin
us ne oDh rakkhi thi chaaron or shaal apne
qatl to Darame ka act tha koi 'mansur'
kis liye lahu se hain donon hath lal apne
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 447)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.