wo le raha tha mera imtihan qiston mein
vo le rahā thā mirā imtihān qistoñ meñ
ḳhabar na thī ki nikālegā jaan qistoñ meñ
tamām 'umr bhaTaktā rahā maiñ ḳhāna-ba-dosh
ḳharīd bhī na sakā ik makān qistoñ meñ
tamām qarz adā kar ke sāhūkāroñ kā
bachā hī lūñgā buzurgoñ kī aan qistoñ meñ
ham ek saath har ik shai ḳharīdte kyūñkar
ham aise log baḌhāte haiñ shaan qistoñ meñ
basā rahā hai har ik fard ik alag hī jahāñ
bikhar rahā hai har ik ḳhāndān qistoñ meñ
ham apne bachchoñ ko urdu se rakh ke nā-vāqif
miTā rahe haiñ sunahrī zabān qistoñ meñ
wo le raha tha mera imtihan qiston mein
KHabar na thi ki nikalega jaan qiston mein
tamam 'umr bhaTakta raha main KHana-ba-dosh
KHarid bhi na saka ek makan qiston mein
tamam qarz ada kar ke sahukaron ka
bacha hi lunga buzurgon ki aan qiston mein
hum ek sath har ek shai KHaridte kyunkar
hum aise log baDhate hain shan qiston mein
basa raha hai har ek fard ek alag hi jahan
bikhar raha hai har ek KHandan qiston mein
hum apne bachchon ko urdu se rakh ke na-waqif
miTa rahe hain sunahri zaban qiston mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.