wo log bhi kaise log hain jo koi baat fuzul nahin karte
vo log bhī kaise log haiñ jo koī baat fuzūl nahīñ karte
ye saare qisse jhūTe haiñ ham in ko qubūl nahīñ karte
tumheñ 'ilm nahīñ hai yaqīn karo maiñ qarīb se jāntā huuñ un ko
kuchh saudāgar aise bhī haiñ jo qarz vasūl nahīñ karte
maiñ patthar le kar baiThā huuñ aur is bastī ke daanā ab
kyuuñ kār-e-shīsha-garī kar ke mujh ko mashġhūl nahīñ karte
kisī ran meñ saath husain kā deñ kis nahr se paanī le aa.eñ
is shahr ke saare nauhagar koī aisī bhuul nahīñ karte
mire naam ke harf chamakte haiñ lekin ye chamak hai sho'loñ kī
maiñ ek aisī sachchā.ī huuñ jise log qubūl nahīñ karte
mujhe bhuul ke nādim mat honā ai aglī nasloñ ke bachcho
haañ apne buzurgoñ kā mātam kabhī taaza phuul nahīñ karte
wo log bhi kaise log hain jo koi baat fuzul nahin karte
ye sare qisse jhuTe hain hum in ko qubul nahin karte
tumhein 'ilm nahin hai yaqin karo main qarib se jaanta hun un ko
kuchh saudagar aise bhi hain jo qarz wasul nahin karte
main patthar le kar baiTha hun aur is basti ke dana ab
kyun kar-e-shisha-gari kar ke mujh ko mashghul nahin karte
kisi ran mein sath husain ka den kis nahr se pani le aaen
is shahr ke sare nauhagar koi aisi bhul nahin karte
mere nam ke harf chamakte hain lekin ye chamak hai sho'lon ki
main ek aisi sachchai hun jise log qubul nahin karte
mujhe bhul ke nadim mat hona ai agli naslon ke bachcho
han apne buzurgon ka matam kabhi taza phul nahin karte
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 145)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.