wo log jinko hai ab KHud-kushi se dilchaspi
wo log jinko hai ab KHud-kushi se dilchaspi
Syed Ziyauddin Naeem
MORE BYSyed Ziyauddin Naeem
vo log jin ko hai ab ḳhud-kushī se dilchaspī
kabhī bahut thī unheñ zindagī se dilchaspī
hai rasm-o-rāh bas apne mafād kī had tak
yahāñ kahāñ hai kisī ko kisī se dilchaspī
muāmlāt kiye jaa.eñ ab sipurd un ke
muāmlāt meñ jo leñ ḳhushī se dilchaspī
na samt dekhī na rasta ajiib aalam thā
hameñ thī sirf tirī ham-rahī se dilchaspī
qubūl añdherā ḳhushī se koī nahīñ kartā
kise nahīñ hai bhalā raushnī se dilchaspī
udhar jhukāo to hotā hai jā ke barsoñ meñ
hai jin umuur meñ tum ko abhī se dilchaspī
'na.īm' saare hī insāñ haiñ lā.eq-e-takrīm
sabhī se uns hai ham ko sabhī se dilchaspī
wo log jin ko hai ab KHud-kushi se dilchaspi
kabhi bahut thi unhen zindagi se dilchaspi
hai rasm-o-rah bas apne mafad ki had tak
yahan kahan hai kisi ko kisi se dilchaspi
muamlat kiye jaen ab sipurd un ke
muamlat mein jo len KHushi se dilchaspi
na samt dekhi na rasta ajib aalam tha
hamein thi sirf teri ham-rahi se dilchaspi
qubul andhera KHushi se koi nahin karta
kise nahin hai bhala raushni se dilchaspi
udhar jhukao to hota hai ja ke barson mein
hai jin umur mein tum ko abhi se dilchaspi
'naim' sare hi insan hain laeq-e-takrim
sabhi se uns hai hum ko sabhi se dilchaspi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.