wo log waqt ko apna ghulam karte hain
vo log vaqt ko apnā ġhulām karte haiñ
jo hādsoñ ko adab se salām karte haiñ
tumhāre shahr meñ tasvīreñ boltī hoñgī
hamāre gaañv meñ patthar kalām karte haiñ
mirī suno to ye būḌhā daraḳht mat kaaTo
sunā hai is pe parinde qiyām karte haiñ
ham apne farz se ġhāfil kabhī nahīñ rahte
vafā kī rasm ko duniyā meñ aam karte haiñ
unhīñ qabīloñ pe fāqoñ kī bārisheñ barsīñ
jo apne khetoñ meñ din-rāt kaam karte haiñ
vaqār-e-ġhairat-e-qaumī ko sharm aatī hai
vatan meñ aise bhī kuchh log kaam karte haiñ
ye mustafā kā karam hai 'jamīl' par apne
tamām log mirā ehtirām karte haiñ
wo log waqt ko apna ghulam karte hain
jo hadson ko adab se salam karte hain
tumhaare shahr mein taswiren bolti hongi
hamare ganw mein patthar kalam karte hain
meri suno to ye buDha daraKHt mat kaTo
suna hai is pe parinde qiyam karte hain
hum apne farz se ghafil kabhi nahin rahte
wafa ki rasm ko duniya mein aam karte hain
unhin qabilon pe faqon ki barishen barsin
jo apne kheton mein din-raat kaam karte hain
waqar-e-ghairat-e-qaumi ko sharm aati hai
watan mein aise bhi kuchh log kaam karte hain
ye mustafa ka karam hai 'jamil' par apne
tamam log mera ehtiram karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.