wo mahir-e-zaban-o-bayan mahir-e-suKHan
vo māhir-e-zabān-o-bayāñ māhir-e-suḳhan
ġhālib ke ham-navā vo shanāsa-e-ilm-o-fan
tāsīr thī zabāñ meñ to guftār purkashish
ab bhī mujhe hai yaad vo lahje kā bāñkpan
aabid moallimī ko ibādat samajhte the
tahqīq thī amāma to tanqīd pairahan
ḳhud un hī ke jalā.e charāġhoñ ke nuur se
ilm-o-amal kī aaj bhī raushan hai anjuman
wo mahir-e-zaban-o-bayan mahir-e-suKHan
ghaalib ke ham-nawa wo shanasa-e-ilm-o-fan
tasir thi zaban mein to guftar purkashish
ab bhi mujhe hai yaad wo lahje ka bankpan
aabid moallimi ko ibaadat samajhte the
tahqiq thi amama to tanqid pairahan
KHud un hi ke jalae charaghon ke nur se
ilm-o-amal ki aaj bhi raushan hai anjuman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.