wo mahtab jab us ghar se ghar badalne laga
vo māhtāb jab us ghar se ghar badalne lagā
sitāre TuuT ga.e āsmān jalne lagā
Thahar ga.e to na thā koī pūchhne vaalā
jo ham chale to zamāna bhī saath chalne lagā
dayār-e-dard kī rasm-o-rah-e-vafā hai yahī
nigāh Duubī dahan bhī lahū ugalne lagā
nishāna-e-sitam-e-rozgār thā par ab
dukhoñ kā zahr mire jism-o-jāñ meñ palne lagā
vo to rahā na vo raste isī liye manzar
har ik vajūd na.e paikaroñ meñ Dhalne lagā
wo mahtab jab us ghar se ghar badalne laga
sitare TuT gae aasman jalne laga
Thahar gae to na tha koi puchhne wala
jo hum chale to zamana bhi sath chalne laga
dayar-e-dard ki rasm-o-rah-e-wafa hai yahi
nigah Dubi dahan bhi lahu ugalne laga
nishana-e-sitam-e-rozgar tha par ab
dukhon ka zahr mere jism-o-jaan mein palne laga
wo to raha na wo raste isi liye manzar
har ek wajud nae paikaron mein Dhalne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.