wo mai-kash hun ki jab mahfil mein mera nam aata hai
vo mai-kash huuñ ki jab mahfil meñ merā naam aatā hai
surāhī jhūmtī hai vajd meñ ḳhud jaam aatā hai
hamīñ ne ḳhuun se ai bāġhbāñ sīñchā gulistāñ ko
hamīñ par bevafā.ī kā yahāñ ilzām aatā hai
asīrī kā tirā shikva abas ai tā.ir-e-nādāñ
havas daane kī jo rakhtā hai zer-e-dām aatā hai
harīm-e-nāz ke pardoñ ko jumbish hone vaalī hai
zabāñ par tere dīvāne ke terā naam aatā hai
yahī anjām hotā hai mohabbat karne vāloñ kā
chhalak aate haiñ aañsū jab hañsī kā naam aatā hai
'zuhūr'-e-bevafā kī bevafā.ī ke gile kab tak
vafādāroñ meñ ab dekheñ ki kis kā naam aatā hai
wo mai-kash hun ki jab mahfil mein mera nam aata hai
surahi jhumti hai wajd mein KHud jam aata hai
hamin ne KHun se ai baghban sincha gulistan ko
hamin par bewafai ka yahan ilzam aata hai
asiri ka tera shikwa abas ai tair-e-nadan
hawas dane ki jo rakhta hai zer-e-dam aata hai
harim-e-naz ke pardon ko jumbish hone wali hai
zaban par tere diwane ke tera nam aata hai
yahi anjam hota hai mohabbat karne walon ka
chhalak aate hain aansu jab hansi ka nam aata hai
'zuhur'-e-bewafa ki bewafai ke gile kab tak
wafadaron mein ab dekhen ki kis ka nam aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.