Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo mai-parast hun badli na jab nazar aai

Shad Lakhnavi

wo mai-parast hun badli na jab nazar aai

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    vo mai-parast huuñ badlī na jab nazar aa.ī

    simaT ga.iiñ jo siyah-kāriyāñ ghaTā chhā.ī

    safed baal hue shab huī javānī

    damīda sub.h huī chauñk sar pe dhuup aa.ī

    haram meñ ḳhaak huā huuñ vo āshiq-e-barbād

    miyān-e-dair havā-e-butāñ uḌā laa.ī

    maiñ vo huuñ bulbul-e-bāġh-e-jahāñ koī gul ho

    diyā dil us ko mohabbat jis meñ paa.ī

    chaman meñ ke jo pūchhā bahār-e-gul sabāt

    khilī na thī jo kalī muskurā ke murjhā.ī

    hisār-e-husn ke haale meñ muñh nazar aayā

    milā ke haath jo us hasīñ ne añgḌā.ī

    maiñ vo kisān huuñ khetī pe barq ne jis

    duā jo meñh ke liye to aag barsā.ī

    rahe mudām yūñhī ishq meñ tah-o-bālā

    jo ġham se baiTh gayā dil to uThne aañkh aa.ī

    wo mai-parast hun badli na jab nazar aai

    simaT gain jo siyah-kariyan ghaTa chhai

    safed baal hue shab hui jawani ki

    damida subh hui chaunk sar pe dhup aai

    haram mein KHak hua hun wo aashiq-e-barbaad

    miyan-e-dair hawa-e-butan uDa lai

    main wo hun bulbul-e-bagh-e-jahan koi gul ho

    diya dil us ko mohabbat ki jis mein bu pai

    chaman mein ja ke jo puchha bahaar-e-gul ka sabaat

    khili na thi jo kali muskura ke murjhai

    hisar-e-husn ke haale mein munh nazar aaya

    mila ke hath jo li us hasin ne angDai

    main wo kisan hun kheti pe barq ne jis ki

    dua jo meinh ke liye ki to aag barsai

    rahe mudam yunhi ishq mein tah-o-baala

    jo gham se baiTh gaya dil to uThne aankh aai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now