wo main nahin ki chhupae phirun kanar mein dil
wo main nahin ki chhupae phirun kanar mein dil
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
vo maiñ nahīñ ki chhupā.e phirūñ kanār meñ dil
jo lene vaalā mile pheñk duuñ hazār meñ dil
gahe sarishk meñ hai gaahe intizār meñ hai
bahut dinoñ se hai āñkhoñ ke iḳhtiyār meñ dil
na ḳhauf-e-ġham hai ki aatā nahīñ kanār meñ dil
machal gayā mirā āġhosh-e-ġham-gusār meñ dil
hazār arsa-e-mehshar ho sair ke qābil
uThegā kaun agar lag gayā mazār meñ dil
burā ho soz-e-darūñ kā badal ga.ī sūrat
uḌī vo ḳhāk-e-jigar aT gayā ġhubār meñ dil
tumhīñ batāo ki qaabū hai kyā tabī.at par
tumhīñ kaho kahīñ hote haiñ iḳhtiyār meñ dil
uThā qadam ko zarā tifl-e-ashk āhista
ki misl shīsha-e-bashkasta hai kanār meñ dil
uThegā hashr lagā.egā koī to Thokar
ki raah dekhte haiñ rakh ke rahguzār meñ dil
vahī hai nāla-e-pur-dard nā-tavānī meñ
ye naġhma taar meñ hai yā hai jism-e-zār meñ dil
tumhāre tiir kī hasrat ko bhī jagah mil jaa.e
jo ek aur bhī nikle dil-e-figār meñ dil
ye kis kā ābla-pā sū-e-dasht aatā hai
piroyā qais kā lailā ne ḳhaar ḳhaar meñ dil
tumhīñ ne ḳhāk-e-kudūrat bharī hai pahlū meñ
tumhīñ ne dekhā thā ā.īna sā kanār meñ dil
mire hī nāloñ ne raḳhne kiye haiñ patthar meñ
mirā hī garm-e-fuġhāñ hai har ik sharār meñ dil
bajā.e ashk-e-nadāmat umīd-e-rahmat par
nikal ke aaya hai chashm-e-gunāhgār meñ dil
kahāñ dikhā.iye 'sho.ala' hujūm-e-hasrat meñ
kahāñ batā.iye ġham-hā-e-be-shumār meñ dil
wo main nahin ki chhupae phirun kanar mein dil
jo lene wala mile phenk dun hazar mein dil
gahe sarishk mein hai gahe intizar mein hai
bahut dinon se hai aankhon ke iKHtiyar mein dil
na KHauf-e-gham hai ki aata nahin kanar mein dil
machal gaya mera aaghosh-e-gham-gusar mein dil
hazar arsa-e-mehshar ho sair ke qabil
uThega kaun agar lag gaya mazar mein dil
bura ho soz-e-darun ka badal gai surat
uDi wo KHak-e-jigar aT gaya ghubar mein dil
tumhin batao ki qabu hai kya tabiat par
tumhin kaho kahin hote hain iKHtiyar mein dil
uTha qadam ko zara tifl-e-ashk aahista
ki misl shisha-e-bashkasta hai kanar mein dil
uThega hashr lagaega koi to Thokar
ki rah dekhte hain rakh ke rahguzar mein dil
wahi hai nala-e-pur-dard na-tawani mein
ye naghma tar mein hai ya hai jism-e-zar mein dil
tumhaare tir ki hasrat ko bhi jagah mil jae
jo ek aur bhi nikle dil-e-figar mein dil
ye kis ka aabla-pa su-e-dasht aata hai
piroya qais ka laila ne KHar KHar mein dil
tumhin ne KHak-e-kudurat bhari hai pahlu mein
tumhin ne dekha tha aaina sa kanar mein dil
mere hi nalon ne raKHne kiye hain patthar mein
mera hi garm-e-fughan hai har ek sharar mein dil
bajae ashk-e-nadamat umid-e-rahmat par
nikal ke aaya hai chashm-e-gunahgar mein dil
kahan dikhaiye 'shoala' hujum-e-hasrat mein
kahan bataiye gham-ha-e-be-shumar mein dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.