wo manzil dur lagti ja rahi hai
vo manzil duur lagtī jā rahī hai
bhale gaaḌī ye chaltī jā rahī hai
hañsā huuñ lazzat-e-ġham par bahut maiñ
mirī ummīd baḌhtī jā rahī hai
kisī kī bhuuk baḌhtī dekh kar hī
hamārī aañkh muñdtī jā rahī hai
mire aage ye duniyā ro rahī hai
mirī bhī umr ghaTtī jā rahī hai
abhī tak maut se jhagḌā rahā hai
vahī mahbūb bantī jā rahī hai
jahāñ saarā yahīñ shamshān hogā
ye jo talvār khiñchtī jā rahī hai
ki ḳhālī haath se maiñ kyā karūñgā
yahī mujh ko khaTaktī jā rahī hai
sabhī tyauhār ab mātam lageñge
na.ī dīvār bantī jā rahī hai
kaho to qabr merī khod aa.eñ
mirī bhī nabz ruktī jā rahī hai
wo manzil dur lagti ja rahi hai
bhale gaDi ye chalti ja rahi hai
hansa hun lazzat-e-gham par bahut main
meri ummid baDhti ja rahi hai
kisi ki bhuk baDhti dekh kar hi
hamari aankh mundti ja rahi hai
mere aage ye duniya ro rahi hai
meri bhi umr ghaTti ja rahi hai
abhi tak maut se jhagDa raha hai
wahi mahbub banti ja rahi hai
jahan sara yahin shamshan hoga
ye jo talwar khinchti ja rahi hai
ki KHali hath se main kya karunga
yahi mujh ko khaTakti ja rahi hai
sabhi tyauhaar ab matam lagenge
nai diwar banti ja rahi hai
kaho to qabr meri khod aaen
meri bhi nabz rukti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.