wo mard-e-qalandar hai nishan us ka KHudi hai
wo mard-e-qalandar hai nishan us ka KHudi hai
Farrukh Zohra Gilani
MORE BYFarrukh Zohra Gilani
vo mard-e-qalandar hai nishāñ us kā ḳhudī hai
ḳhuddār hai aisā ki gumāñ us kā ḳhudī hai
iqbāl ke sheroñ meñ ye ejāz-e-suḳhan hai
vo ishq-e-mohammad meñ chamaktā huā fan hai
yuuñ fikr ke teshe se kiyā zulm ko shaq hai
har daur kī zulmat meñ vo phailā huā haq hai
iqbāl bhī iqbāl se āgāh nahīñ thā
us arz kā baasī thā ki aflāk-nashīñ thā
yādoñ ke havāle se vo har dil kā makīñ hai
'farruḳh' vo zamāne ke liye ek nagīñ hai
wo mard-e-qalandar hai nishan us ka KHudi hai
KHuddar hai aisa ki guman us ka KHudi hai
iqbaal ke sheron mein ye ejaz-e-suKHan hai
wo ishq-e-mohammad mein chamakta hua fan hai
yun fikr ke teshe se kiya zulm ko shaq hai
har daur ki zulmat mein wo phaila hua haq hai
iqbaal bhi iqbaal se aagah nahin tha
us arz ka basi tha ki aflak-nashin tha
yaadon ke hawale se wo har dil ka makin hai
'farruKH' wo zamane ke liye ek nagin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.