wo mard hai jo kabhi shikwa-e-jafa na kare
vo mard hai jo kabhī shikva-e-jafā na kare
laboñ pe dam ho magar nāla-o-bukā na kare
kisī kā mujh pe kuchh ehsān ho ḳhudā na kare
davā to kyā mire haq meñ koī duā na kare
kahāñ se jaan paḌe zindagī ke murdoñ meñ
adā-e-husn qayāmat agar bapā na kare
adā-e-be-ḳhabarī hai ki ik tilism-e-jamāl
nigāh-e-shauq se vāqif hoñ vo ḳhudā na kare
ġharaz mujhe na dar-e-tājdār tak le jaa.e
salām karne kī hājat paḌe ḳhudā na kare
koī azāb-e-jahannam meñ mubtalā ho jaa.e
uruuj pā ke zamīñ par gire ḳhudā na kare
na dil meñ dard kisī ke liye na pās-e-vafā
ham aise ārif-e-ḳhud-kām hoñ ḳhudā na kare
buzurg ban ke maiñ baiThūñ ye ho nahīñ saktā
koī baḌā mujhe samjhe 'jigar' ḳhudā na kare
wo mard hai jo kabhi shikwa-e-jafa na kare
labon pe dam ho magar nala-o-buka na kare
kisi ka mujh pe kuchh ehsan ho KHuda na kare
dawa to kya mere haq mein koi dua na kare
kahan se jaan paDe zindagi ke murdon mein
ada-e-husn qayamat agar bapa na kare
ada-e-be-KHabari hai ki ek tilism-e-jamal
nigah-e-shauq se waqif hon wo KHuda na kare
gharaz mujhe na dar-e-tajdar tak le jae
salam karne ki hajat paDe KHuda na kare
koi azab-e-jahannam mein mubtala ho jae
uruj pa ke zamin par gire KHuda na kare
na dil mein dard kisi ke liye na pas-e-wafa
hum aise aarif-e-KHud-kaam hon KHuda na kare
buzurg ban ke main baiThun ye ho nahin sakta
koi baDa mujhe samjhe 'jigar' KHuda na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.